I had these collected since long -- thought to post them.
Aapko Milne ka mann kar raha hai,
Mann ko samjaya toh dil tadap raha hai,
Dil ko bahelaya toh aankhe ro padi,
Unhe chup karaya toh sanse bol badi .. I MISS U !!
Khud ko khud ki khabar na lage,
koi achha bhi is kadar na lage,
aap ko dekha hai bas us nazar se,
jis nazar se aap ko nazar na lage
Mil Jaye Koi Naya To Hume Na Bhula Dena,
Koi Rula de Tumhe To Hume Yaad Kar Lena,
dost Ho tum hamare,
Khushi Na Sahi YAAR Ghum Hi Baant Lena
Dil todna hamari aadat nahi,
Dil hum kisi ka dukhate nahi,
Bharosa rakhna meri wafaon pe,
Dil main basa kar hum kissi ko bhulate nahi
Is Qadar Humari Chahhat Ka Imtehan Na Lena..
Jab ho jaao mujh se Khafaa…Bayaan to Karna..
Kar Dena Maaf Agar hogaye Mujh Se koi Khataa...
Yoon Yaad Na Karke Kam se Kam Saza To Na Dena !!

V. VENU

From India, Hyderabad
Hai Venu
Good One
plz have a look over this
" Pyar me maut se darta kaun hai,
Pyar ho jaata hai karta kaun hai.
Aap jaise yaar pe duniya qurban hai,
Aur aap puchte hain ki hum pe marta kaun hai. "
Regards
Shilpa

From India, Bangalore

Hai frnds, here are some more ....
Zindagi jaise ek saza si ho gayee hai,
gham ke saagar mein is qadar kho gayee hai,
tum aa jao waapis yeh guzaarish hai meri,
mujhe shayad tumaari aadat si ho gayee hai.
agar hum na hote to tujhe ghazal kaun kahta,
tere chehre ko kamaal kaun kahta,
yeh to karishma hai mohabbat ka,
warna pathharoN (stones) ko taj mahal kaun kaheta??
wo zindagi hi kya jisme pyar nahi,
wo pyar hi kya jisme yaden nahi,
wo yaden he kya jisme tum nahi,
wo tum hi kya jisme hum nahi.
Kaash aisa ho ki tumko tumse chura loon,
waqt ko rok kar waqt se ek din chura loon,
tum paas ho to is raat se ek raat chura loon,
tum saath ho to is jahan se ye jahan chura loon
Pyaar toh kiya mainey bahut,
magar izhaar na karna aaya ...
usney poocha toh mujhsey bahut,
magar ikraar na karna ayaa...
mere ashqon ka har qatra,
tere mohabbat ki nishani hai,
jo tu samjhe to moti (pearl) hai,
tu na samjhe to paani hai..!!

From India, Kakinada
Community Support and Knowledge-base on business, career and organisational prospects and issues - Register and Log In to CiteHR and post your query, download formats and be part of a fostered community of professionals.





Contact Us Privacy Policy Disclaimer Terms Of Service

All rights reserved @ 2024 CiteHR ®

All Copyright And Trademarks in Posts Held By Respective Owners.