Sing with the tune ...

Papa kehte hain for Software Engineers.

-------------------------------------------

Doston . . . .

Aaj Delivery ka Aakhri Din hain,

Aur sabhi ne kuch na kuch file check-in kiya hain

Par maine koi file check-in nahin kiya hain

No really I mean it

Aaaj, Aaj mujhe bar bar ek hi khayal aa raha hain

------------------------------------------

The song begins here .......

--------------------------------

PM ( Project Manager ) kehte hain bada kam karega,

TM ( team member ) hamara bada code likhega,

magar yeh to koi na jaane,

ke iska template hain

kahaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaannnnnn . . . .

PM kehte hain bada kam karega,

TM hamara bada code likhega,

magar yeh to koi na jaane ,

ke iska template hain

kahaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaannnnnn . . . . .

PM kehte hain bada kam karega, aaaaa aaaaaa . . . . .

[jazzy music in the manner of TDD being typed]

Baithe hain milke,

Sab reviewer apne,

sabke dilon mein armaan yeh hain [eh he eh]

woh Review mein kal kya bharega,

har ek defect ka Owner kaun hain.....

koi reviewer ka kaam karega,

Defect resolution main koi apna naam bharega,

magar yeh to koi na jaane,

ke is defect ka owner hain

kahaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaannnnnn . . . . .

PM kehte hain bada kam karega, aaaaa aaaaaa

[jazzy music in the manner of Review defects being closed]

Mera to sapna,

Hain Onsite Jana

Jau jo wahan,

Jhume Bahar

tension badhati,

UAT ka mausam,

client ki masti,

OC ka haal....

bandha onsite main 0 defect try karega....

good show mail mein apna naam payega

mujhe bus itna kaho yaaron...

ki mujhe onsite jana hain

kahaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaannnnnn . . . . .

PM kehte hain bada kam karega,

TM hamara bada code likhega,

magar yeh to koi na jaane,

ke mera appraisal hain

kahaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaannnnnn . . . .

[applause and sounds of developers destroying cubicles......]

!!!!!!!!!!!! !!!!!!!!!!!! !!!!!!!!!!!! !!!!!!!!!!!! !!!!!!!!!!!!

!!!!!!!!!!!! !!!!!!!!!!!! !!!!!!!!!!!! !!!!!!!!!!!!

From India, Madras
Hey friends

Lets share some of the most dangerous shers (Lions) in this link

Our bhi cheeze loot jati hai dil ke saath

Ye farmaya dosto ne ishq farmane ke bad

Isi liye check karleta hun, kamre ke har ik cheez ko

Ik tere aane se pehle, Ik tere jaane ke baad

Haseeno ne haseen ban ke gunah kia

auron ko to theek hum ko bhi tabaah kia

pesh kia jab ghazaloN main un ki bewafaYi ko

auron ne to theek unho ne bhi waah waah kia..................................

Yeh Degree bhi lelo, Yeh Naukri bhi lelo,

Bhale mujhse lelo yaha ka ye Visa,

Magar mujhko lauta do college ki sabse - purani nishaanee

Woh chup-kese journal - mein jo bheji thi chitthi,

Woh padhte hi chitthi - tha uska bhadakna,

Woh chehre ki laali, woh aankhon kaa gussaa ©...

Kadi dhoop mein - apni room se nikalnaa,

Woh project ki Khatir - tha dar dar bhataknaa ,

Woh lecture mein doston - ki proxy lagaanaa,

Woh sir ko chidana, aeroplane udaanaa,

Woh submission ki raton - ko jagna jagaanaa,

Woh dena Bimaari - ka har time bahana,

Woh doosron ka assignment - ko apnaa banana,

who sadak ke us paar thi

hum sadak ke is paar the

kuch hum aaghe badhe kuch who aage badhi

hum kuch aur aage badhe who bhi kuch aur aage badhi

hum kuch aur aage badhe who bhi kuch aur aage badhi

ab hum sadak ke us paar the aur who sadak ke is paar thi !!

Bewafa tum ho to wafadaar hum bhi nahi,

besharam tum ho to sharamdaar hum bhi nahi,

pyaar ke is mode par aake kehte ho shadishuda ho

to kya hua darling...kunware hum bhi nahin!

Bye

Vinod Kumar .H.R

HR

From India,
hi friends
No reply Kamaal hai "shock"
but I keep on aplying till you guys start replying
saawan ka mausam tha
poonam ki raat thi
mein uske paas tha
woh mere karib thi
fir woh mere paas aayi
aur thodi si ghabraayi
jab meine uska haath pakada
to woh thodi si sharmaayi
usne kaha aaj hum
aise bandhan me bandh jaaye
jise duniya ki
koi taakat na tod paaye
meri khushi ka andaaza
lagana mushkil tha
par iske aage jo hua
woh dekh na bhi mushkil tha
usne mera haath
haatho me lekar kaha
yeh to janam janmo
ka bandhan hai
phir mujhe yaad aaya
woh Saawan ka mausam
woh poonam ki raat
yeh to RAKSHA BHANDHAN hai!
bye
Vinod Kumar .H.R
HR

From India,
Community Support and Knowledge-base on business, career and organisational prospects and issues - Register and Log In to CiteHR and post your query, download formats and be part of a fostered community of professionals.





Contact Us Privacy Policy Disclaimer Terms Of Service

All rights reserved @ 2024 CiteHR ®

All Copyright And Trademarks in Posts Held By Respective Owners.